nai rahon pe chalna chahta hai
na.ī rāhoñ pe chalnā chāhtā hai
zamāna phir badalnā chāhtā hai
ye bādal kyoñ pareshāñ kar rahe haiñ
agar sūraj nikalnā chāhtā hai
zamāna tang ho jaatā hai us par
vo jab ḳhud ko badalnā chāhtā hai
bhaḌaktī hai ġharībī aag ban kar
ḳhushī se kaun jalnā chāhtā hai
girāte haiñ use hālāt us ke
agar koī sañbhalnā chāhtā hai
'zafar' ab shaam kī chādar to oḌho
thakā sūraj hai Dhalnā chāhtā hai
nai rahon pe chalna chahta hai
zamana phir badalna chahta hai
ye baadal kyon pareshan kar rahe hain
agar suraj nikalna chahta hai
zamana tang ho jata hai us par
wo jab KHud ko badalna chahta hai
bhaDakti hai gharibi aag ban kar
KHushi se kaun jalna chahta hai
giraate hain use haalat us ke
agar koi sanbhalna chahta hai
'zafar' ab sham ki chadar to oDho
thaka suraj hai Dhalna chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.