nai ruton ka jawan hausla bhi KHatm hua
na.ī rutoñ kā javāñ hausla bhī ḳhatm huā
shajar ke girne se zor-e-havā bhī ḳhatm huā
bahut hī duur hue justujū meñ manzil kī
thake haiñ paañv ki ab rāsta bhī ḳhatm huā
tumhāre baad tavāzo nahīñ hai mehmāñ kī
tumhāre ghar se to ye silsila bhī ḳhatm huā
bahut tavīl safar zindagī kā lagtā hai
ki vāldain kā ab aasrā bhī ḳhatm huā
bahut hī der huī mehrbāñ ke aane meñ
hatheliyoñ se vo rang-e-hinā bhī ḳhatm huā
mizāj-e-shahr badalne lagā bahut ab to
siyah qulūb se ḳhauf-e-ḳhudā bhī ḳhatm huā
har ek shaḳhs kā rishta ġharaz se vābasta
'azīm' shahr se pās-e-vafā bhī ḳhatm huā
nai ruton ka jawan hausla bhi KHatm hua
shajar ke girne se zor-e-hawa bhi KHatm hua
bahut hi dur hue justuju mein manzil ki
thake hain panw ki ab rasta bhi KHatm hua
tumhaare baad tawazo nahin hai mehman ki
tumhaare ghar se to ye silsila bhi KHatm hua
bahut tawil safar zindagi ka lagta hai
ki waldain ka ab aasra bhi KHatm hua
bahut hi der hui mehrban ke aane mein
hatheliyon se wo rang-e-hina bhi KHatm hua
mizaj-e-shahr badalne laga bahut ab to
siyah qulub se KHauf-e-KHuda bhi KHatm hua
har ek shaKHs ka rishta gharaz se wabasta
'azim' shahr se pas-e-wafa bhi KHatm hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.