nai ruton ki yahan se nishaniyan le ja
na.ī rutoñ kī yahāñ se nishāniyāñ le jā
khile nahīñ haiñ abhī phuul pattiyāñ le jā
ye dukh ye ranj ye āzurda-hāliyāñ le jā
tū shahr-e-dil kī mire sab udāsiyāñ le jā
añdherī raat bahut duur hai tirī manzil
safar meñ saath ujāloñ kī kirchiyāñ le jā
yaqīn us ko tirī baat par na jab aa.e
lahū se maiñ ne jo likkhī haiñ chiTThiyāñ le jā
sunā chukā huuñ mohabbat kī dāstāñ tujh ko
tū mere dil meñ jo haiñ bad-gumāniyāñ le jā
tire nagar meñ agar hai bahār kā mausam
zarūr shahr se mere tū titliyāñ le jā
ḳhushī kī baat koī kis tarah kahe 'anvar'
lahūluhān diloñ kī kahāniyāñ le jā
nai ruton ki yahan se nishaniyan le ja
khile nahin hain abhi phul pattiyan le ja
ye dukh ye ranj ye aazurda-haaliyan le ja
tu shahr-e-dil ki mere sab udasiyan le ja
andheri raat bahut dur hai teri manzil
safar mein sath ujalon ki kirchiyan le ja
yaqin us ko teri baat par na jab aae
lahu se main ne jo likkhi hain chiTThiyan le ja
suna chuka hun mohabbat ki dastan tujh ko
tu mere dil mein jo hain bad-gumaniyan le ja
tere nagar mein agar hai bahaar ka mausam
zarur shahr se mere tu titliyan le ja
KHushi ki baat koi kis tarah kahe 'anwar'
lahuluhan dilon ki kahaniyan le ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.