nai shabahat ke marhale se guzar raha hun
na.ī shabāhat ke marhale se guzar rahā huuñ
ki maiñ bashārat ke marhale se guzar rahā huuñ
na.e na.e mehr-o-māh se ham kalām huuñ maiñ
maqām-e-hairat ke marhale se guzar rahā huuñ
safar meñ aatā hai istaqāmat kā marhala bhī
so istaqāmat ke marhale se guzar hā huuñ
to phir mirā bhī kahīñ to dārussalām hogā
tavāf-o-hijrat ke marhale se guzar rahā huuñ
savād-e-shab meñ lahū-ḳhazāna bikher dūñgā
suḳhan shahādat ke marhale se guzar rahā huuñ
malāmatī aur karāmatī log jānte haiñ
na.ī haqīqat ke marhale se guzar rahā huuñ
mire muqābil meñ aa.ine kā kamāl kyā hai
tulūa-e-qāmat ke marhale se guzar rahā huuñ
'yagānā' aur 'shād' 'ārfī' saath chal rahe haiñ
suḳhan meñ jiddat ke marhale se guzar rahā huuñ
sulūk aur ma.arifat kī rāheñ khulī haiñ 'shaukat'
so maiñ sharī.at ke marhale se guzar rahā huuñ
nai shabahat ke marhale se guzar raha hun
ki main bashaarat ke marhale se guzar raha hun
nae nae mehr-o-mah se hum kalam hun main
maqam-e-hairat ke marhale se guzar raha hun
safar mein aata hai istaqamat ka marhala bhi
so istaqamat ke marhale se guzar ha hun
to phir mera bhi kahin to darussalam hoga
tawaf-o-hijrat ke marhale se guzar raha hun
sawad-e-shab mein lahu-KHazana bikher dunga
suKHan shahadat ke marhale se guzar raha hun
malamati aur karamati log jaante hain
nai haqiqat ke marhale se guzar raha hun
mere muqabil mein aaine ka kamal kya hai
tulua-e-qamat ke marhale se guzar raha hun
'yagana' aur 'shad' 'arfi' sath chal rahe hain
suKHan mein jiddat ke marhale se guzar raha hun
suluk aur marifat ki rahen khuli hain 'shaukat'
so main shariat ke marhale se guzar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.