nai tahzib ke naqshe ka ek ik rang dekhenge
na.ī tahzīb ke naqshe kā ik ik rang dekheñge
ki ham phūloñ se jismoñ par qabā ko tang dekheñge
tabī.at ke ḳhilāf ai jaan agar kuchh faisla kar leñ
to apne zehn-o-dil ke darmiyāñ ik jang dekheñge
bahut se marhale aate haiñ manzil par pahuñchne tak
yahāñ shīshe se nisbat hai vahāñ par sang dekheñge
agar āñkhoñ ko kholeñge to ik zid hai hamārī bhī
to ham gulshan ke phūloñ kā shagufta rang dekheñge
'azīm' ab kuchh kamand-e-harf ke ash.ār sunvāo
nayā lahja na.ī ḳhushbū nayā āhang dekheñge
nai tahzib ke naqshe ka ek ek rang dekhenge
ki hum phulon se jismon par qaba ko tang dekhenge
tabiat ke KHilaf ai jaan agar kuchh faisla kar len
to apne zehn-o-dil ke darmiyan ek jang dekhenge
bahut se marhale aate hain manzil par pahunchne tak
yahan shishe se nisbat hai wahan par sang dekhenge
agar aankhon ko kholenge to ek zid hai hamari bhi
to hum gulshan ke phulon ka shagufta rang dekhenge
'azim' ab kuchh kamand-e-harf ke ashaar sunwao
naya lahja nai KHushbu naya aahang dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.