nai uDan ka aaseb musht-e-par mein hai
na.ī uḌaan kā aaseb musht-e-par meñ hai
ki jaise koī muqayyad havā ke ghar meñ hai
ham apne ḳhvāb liye bastiyoñ se duur hue
hamārā rizq isī shahr-e-be-hunar meñ hai
sitāra-vār simaTtī rahī charāġh kī lau
tulū-e-sub.h magar chāñd ke nagar meñ hai
safar-nasīb tire aas paas rahte haiñ
ki ab qayām isī kunj-e-dar-badar meñ hai
tuyūr lauT ke phir ghoñsloñ meñ aa baiThe
paḌāv shaam kā terī hī rahguzar meñ hai
nai uDan ka aaseb musht-e-par mein hai
ki jaise koi muqayyad hawa ke ghar mein hai
hum apne KHwab liye bastiyon se dur hue
hamara rizq isi shahr-e-be-hunar mein hai
sitara-war simaTti rahi charagh ki lau
tulu-e-subh magar chand ke nagar mein hai
safar-nasib tere aas pas rahte hain
ki ab qayam isi kunj-e-dar-badar mein hai
tuyur lauT ke phir ghonslon mein aa baiThe
paDaw sham ka teri hi rahguzar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.