nai wabastagi paida hui hai kuza-gar se
na.ī vābastagī paidā huī hai kūza-gar se
hamārī dostī hone lagī hai kūza-gar se
kisī ko kūza-gar se vālihāna 'ishq hai aur
kisī ko intihā kī dushmanī hai kūza-gar se
na.ī tahzīb kā kaḌvā dhuāñ phailā huā hai
havā miTTī kī ḳhushbū māñgtī hai kūza-gar se
tumheñ miTTī se sharf-e-ham-kalāmī kā pata hai
mirā matlab kabhī koī baat kī hai kūza-gar se
kisī devī ne kūza-gar kī peshānī ko chūmā
koī devī bahut sharmā rahī hai kūza-gar se
ye barqī qumqumoñ kī raushnī hairān-kun hai
magar bāzār meñ jo raushnī hai kūza-gar se
sunā hai maiñ ne mallāhoñ se qissa pāniyoñ kā
kahānī apnī miTTī kī sunī hai kūza-gar se
tumhāre paas hai hī kyā jise duniyā sarāhe
tumhārī kaun-sī 'ādat bhalī hai kūza-gar se
nai wabastagi paida hui hai kuza-gar se
hamari dosti hone lagi hai kuza-gar se
kisi ko kuza-gar se walihana 'ishq hai aur
kisi ko intiha ki dushmani hai kuza-gar se
nai tahzib ka kaDwa dhuan phaila hua hai
hawa miTTi ki KHushbu mangti hai kuza-gar se
tumhein miTTi se sharf-e-ham-kalami ka pata hai
mera matlab kabhi koi baat ki hai kuza-gar se
kisi dewi ne kuza-gar ki peshani ko chuma
koi dewi bahut sharma rahi hai kuza-gar se
ye barqi qumqumon ki raushni hairan-kun hai
magar bazar mein jo raushni hai kuza-gar se
suna hai main ne mallahon se qissa paniyon ka
kahani apni miTTi ki suni hai kuza-gar se
tumhaare pas hai hi kya jise duniya sarahe
tumhaari kaun-si 'adat bhali hai kuza-gar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.