nai zamin naya aasman banana hai
na.ī zamīn nayā āsmāñ banānā hai
tire makān se behtar makāñ banānā hai
jo baat sach hai nahīñ kholnī zamāne par
taḳhayyulāt ko husn-e-bayāñ banānā hai
havā se terī himāyat meñ guftugū ke baa'd
diye kī lau ko tirā pāsbāñ banānā hai
talāsh karne haiñ kuchh apne jaise log mujhe
aur ek halqa-e-āvārgāñ banānā hai
sipurd kar ke kisī ko makān-e-dil 'shahzād'
ḳhud apne-āp ko be-ḳhānumāñ banānā hai
nai zamin naya aasman banana hai
tere makan se behtar makan banana hai
jo baat sach hai nahin kholni zamane par
taKHayyulat ko husn-e-bayan banana hai
hawa se teri himayat mein guftugu ke ba'd
diye ki lau ko tera pasban banana hai
talash karne hain kuchh apne jaise log mujhe
aur ek halqa-e-awargan banana hai
sipurd kar ke kisi ko makan-e-dil 'shahzad'
KHud apne-ap ko be-KHanuman banana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.