nai zamin naya aasman banate hain
na.ī zamīn nayā āsmāñ banāte haiñ
ham apne vāste apnā jahāñ banāte haiñ
bujhī bujhī sī vo tasvīr-e-jāñ banāte haiñ
kahīñ charāġh kahīñ par dhuāñ banāte haiñ
bayān karte haiñ ham dāstān lafzoñ meñ
zarā sī baat kī vo dāstāñ banāte haiñ
chamaktī dhuup meñ kirneñ sameTte haiñ ham
unhīñ ko taan ke phir sā.ebāñ banāte haiñ
sukūn-e-dil ke liye ham bhī roz kāġhaz ke
kabhī to phuul kabhī titliyāñ banāte haiñ
jo madd-o-jazr se vāqif nahīñ haiñ dariyā ke
vo sāhiloñ pe hī aksar makāñ banāte haiñ
banāte rahte haiñ 'jāved' kashtiyāñ lekin
ham un ke vāste phir bādbāñ banāte haiñ
nai zamin naya aasman banate hain
hum apne waste apna jahan banate hain
bujhi bujhi si wo taswir-e-jaan banate hain
kahin charagh kahin par dhuan banate hain
bayan karte hain hum dastan lafzon mein
zara si baat ki wo dastan banate hain
chamakti dhup mein kirnen sameTte hain hum
unhin ko tan ke phir saeban banate hain
sukun-e-dil ke liye hum bhi roz kaghaz ke
kabhi to phul kabhi titliyan banate hain
jo madd-o-jazr se waqif nahin hain dariya ke
wo sahilon pe hi aksar makan banate hain
banate rahte hain 'jawed' kashtiyan lekin
hum un ke waste phir baadban banate hain
- Book : Neend Shart Nahin (Pg. 54)
- Author : Khawaja Jawed Akhtar
- Publication : Shabkhoon Kitabghar Allahabad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.