nai zamin naya falsafa talash karo
na.ī zamīn nayā falsafa talāsh karo
na.ī ġhazal ke liye kuchh nayā talāsh karo
mirā zamīr jo rastā mujhe dikhātā thā
vo mujh ko chhoḌ kahāñ gum huā talāsh karo
vo ek shaḳhs jo mujh ko bahut hī pyārā thā
kisī ne chhīn liyā tum zarā talāsh karo
qadam qadam pe mileñge bahut se chaurāhe
unhīñ meñ soch samajh rāsta talāsh karo
vo jis kā kaam hī phūloñ ko haar karnā thā
vo aadmī thā miyāñ kaam kā talāsh karo
nai zamin naya falsafa talash karo
nai ghazal ke liye kuchh naya talash karo
mera zamir jo rasta mujhe dikhata tha
wo mujh ko chhoD kahan gum hua talash karo
wo ek shaKHs jo mujh ko bahut hi pyara tha
kisi ne chhin liya tum zara talash karo
qadam qadam pe milenge bahut se chaurahe
unhin mein soch samajh rasta talash karo
wo jis ka kaam hi phulon ko haar karna tha
wo aadmi tha miyan kaam ka talash karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.