nairangi-e-bahaar-o-KHizan dekhte rahe
nairañgi-e-bahār-o-ḳhizāñ dekhte rahe
hairat se ham tilism-e-jahāñ dekhte rahe
pesh-e-nazar jahāñ ke rahī rahmat-e-ḳhudā
ham barhamī-e-husn-e-butāñ dekhte rahe
har gul hamārī aql pe hañstā rahā magar
ham fasl-e-gul meñ rañg-e-ḳhizāñ dekhte rahe
arz-e-niyāz-e-shauq kī achchhī milī ye daad
hañs kar vo mere ashk-e-ravāñ dekhte rahe
tai kar gayā junūñ mirā ik jast meñ unheñ
hairat se mujh ko kaun-o-makāñ dekhte rahe
nairangi-e-bahaar-o-KHizan dekhte rahe
hairat se hum tilism-e-jahan dekhte rahe
pesh-e-nazar jahan ke rahi rahmat-e-KHuda
hum barhami-e-husn-e-butan dekhte rahe
har gul hamari aql pe hansta raha magar
hum fasl-e-gul mein rang-e-KHizan dekhte rahe
arz-e-niyaz-e-shauq ki achchhi mili ye dad
hans kar wo mere ashk-e-rawan dekhte rahe
tai kar gaya junun mera ek jast mein unhen
hairat se mujh ko kaun-o-makan dekhte rahe
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 252)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.