nak-chaDhi baam par chaDhi hogi
nak-chaḌhī baam par chaḌhī hogī
chāñd kī 'iid ho ga.ī hogī
ye diyā be-sabab nahīñ raushan
ab vahāñ shaam ho chukī hogī
raakh dil kī kuredtī hogī
vo bhī barbād to huī hogī
nāma-bar ḳhat nayā ye de aanā
vo purānā hī chūmtī hogī
aaj kyoñ dil hai be-qarār bahut
bahs-o-takrār ho ga.ī hogī
dil kahāñ be-sabab dhaḌaktā hai
baat koī to an-kahī hogī
shor barpā hai ḳhāna-e-dil meñ
phir se dīvār gir ga.ī hogī
us kī āñkhoñ meñ paḌ ga.e halqe
raat bhar vo bhī jāgtī hogī
'jogī' vahm-o-ḳhayāl hai terā
vo tire ḳhvāb dekhtī hogī
ḳhush-gumānī hai raqs-e-mai-kash kī
mai kī botal bhī nāchtī hogī
hastī uktā ga.ī hai bastī se
ab kahīñ duur jhoñpḌī hogī
vaqt rahtā nahīñ kahīñ Tik kar
dil kī ḳhaslat bhī vaqt sī hogī
ruuh aur jism ke tafāvut meñ
ḳhaak tashrīf-āvrī hogī
baat gahrī na kījiye sāhab
nāzukī baat sun rahī hogī
nak-chaDhi baam par chaDhi hogi
chand ki 'id ho gai hogi
ye diya be-sabab nahin raushan
ab wahan sham ho chuki hogi
rakh dil ki kuredti hogi
wo bhi barbaad to hui hogi
nama-bar KHat naya ye de aana
wo purana hi chumti hogi
aaj kyon dil hai be-qarar bahut
bahs-o-takrar ho gai hogi
dil kahan be-sabab dhaDakta hai
baat koi to an-kahi hogi
shor barpa hai KHana-e-dil mein
phir se diwar gir gai hogi
us ki aankhon mein paD gae halqe
raat bhar wo bhi jagti hogi
'jogi' wahm-o-KHayal hai tera
wo tere KHwab dekhti hogi
KHush-gumani hai raqs-e-mai-kash ki
mai ki botal bhi nachti hogi
hasti ukta gai hai basti se
ab kahin dur jhonpDi hogi
waqt rahta nahin kahin Tik kar
dil ki KHaslat bhi waqt si hogi
ruh aur jism ke tafawut mein
KHak tashrif-awri hogi
baat gahri na kijiye sahab
nazuki baat sun rahi hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.