naKHl-e-hasti pe jo ashkon ka samar lagta hai
naḳhl-e-hastī pe jo ashkoñ kā samar lagtā hai
mausam-e-hijr kī talḳhī kā asar lagtā hai
dil ko taskīn milī jab se milā huuñ us se
yaar vo shaḳhs mujhe ahl-e-nazar lagtā hai
'umr khā jaatī hai manzil kī masāfat hamdam
zindagī mujh ko kaThin terā safar lagtā hai
ek sunsān mohalla hai mirā siina aur
is mahalle meñ ye dil qais kā ghar lagtā hai
jhuk ke chaltā huuñ to kamzor na samjho mujh ko
shāḳh jhuktī hai vahī jis pe samar lagtā hai
ḳhud meñ jhāñkā to khulā mujh pe ki duniyā meñ kyoñ
ek insān ko insān se Dar lagtā hai
husn nazroñ meñ nahīñ terī vagarna dekhe
merā mahbūb mujhe rashk-e-qamar lagtā hai
mere she'roñ pe sabhī vaah kiye jaate haiñ
kaun samjhegā mirā ḳhūn-e-jigar lagtā hai
jang jītoge 'adīl' us se vafā kī kaise
jis kā har 'aib zamāne ko hunar lagtā hai
naKHl-e-hasti pe jo ashkon ka samar lagta hai
mausam-e-hijr ki talKHi ka asar lagta hai
dil ko taskin mili jab se mila hun us se
yar wo shaKHs mujhe ahl-e-nazar lagta hai
'umr kha jati hai manzil ki masafat hamdam
zindagi mujh ko kaThin tera safar lagta hai
ek sunsan mohalla hai mera sina aur
is mahalle mein ye dil qais ka ghar lagta hai
jhuk ke chalta hun to kamzor na samjho mujh ko
shaKH jhukti hai wahi jis pe samar lagta hai
KHud mein jhanka to khula mujh pe ki duniya mein kyon
ek insan ko insan se Dar lagta hai
husn nazron mein nahin teri wagarna dekhe
mera mahbub mujhe rashk-e-qamar lagta hai
mere she'ron pe sabhi wah kiye jate hain
kaun samjhega mera KHun-e-jigar lagta hai
jang jitoge 'adil' us se wafa ki kaise
jis ka har 'aib zamane ko hunar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.