naKHl-e-ummid mein samar aaya
naḳhl-e-ummīd meñ samar aaya
husn un kā murād par aaya
qasd-e-ka.aba thā dair meñ pahūñchā
kis taraf dhyān thā kidhar aaya
royā maiñ yād-e-yār meñ jab jab
sail ashkoñ kā tā kamar aaya
vāsta go diyā payambar kā
na mirā phir ke nāma-bar aaya
kar diyā kushta charḳh ne lekin
na baġhal meñ vo sīm-bar aaya
ḳhuub dekhā magar sivā tere
na koī dūsrā nazar aaya
jaan dī ham ne dard-e-furqat se
na ḳhabar ko vo be-ḳhabar aaya
sub.h kī ham ne taare gin gin kar
par vo mah-rū na raat bhar aaya
kaT ga.ī bātoñ hī meñ vasl kī raat
mudda.ā dil kā kuchh na bar aaya
jab diyā us ne bhar ke ġhair ko jaam
ḳhuun āñkhoñ meñ merī bhar aaya
ho ga.ī sharm māne'-e-vaslat
rahm bhī un ko mujh pe gar aaya
nazar-e-charḳh se girā ḳhurshīd
mahvash apnā jo baam par aaya
apne dil meñ ye soch lo 'vahbī'
jaan jā.egī dil agar aaya
naKHl-e-ummid mein samar aaya
husn un ka murad par aaya
qasd-e-kaba tha dair mein pahuncha
kis taraf dhyan tha kidhar aaya
roya main yaad-e-yar mein jab jab
sail ashkon ka ta kamar aaya
wasta go diya payambar ka
na mera phir ke nama-bar aaya
kar diya kushta charKH ne lekin
na baghal mein wo sim-bar aaya
KHub dekha magar siwa tere
na koi dusra nazar aaya
jaan di hum ne dard-e-furqat se
na KHabar ko wo be-KHabar aaya
subh ki hum ne tare gin gin kar
par wo mah-ru na raat bhar aaya
kaT gai baaton hi mein wasl ki raat
muddaa dil ka kuchh na bar aaya
jab diya us ne bhar ke ghair ko jam
KHun aankhon mein meri bhar aaya
ho gai sharm mane'-e-waslat
rahm bhi un ko mujh pe gar aaya
nazar-e-charKH se gira KHurshid
mahwash apna jo baam par aaya
apne dil mein ye soch lo 'wahbi'
jaan jaegi dil agar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.