nam is liye aankhon mein numu-yab nahin hai
nam is liye āñkhoñ meñ numū-yāb nahīñ hai
mujh ret ke dariyā meñ kahīñ aab nahīñ hai
nīñdoñ kī talabgār to hai aañkh hamārī
bas mas.ala ye hai ki koī ḳhvāb nahīñ hai
bāzār meñ bhī haath pakaḌ letā hai merā
ye ishq abhī vāqif-e-ādāb nahīñ hai
tū vasl kā mausam hai sadā sabz rahegā
maiñ hijr kā vo khet jo sairāb nahīñ hai
ye log tire ishq se mahrūm haiñ mālik
aur is se baḌā dukh koī betāb nahīñ hai
kis ranj ne dāġhā hai tire husn pe bosa
āñkhoñ meñ vo pahlī sī tab-o-tāb nahīñ hai
mushkil hai ki ab koī pisar baap pe jaa.e
rustam to bahut haiñ koī sohrāb nahīñ hai
ye dukh bhī baḌā dukh hai ki is shahr meñ 'shīrān'
ahbāb to haiñ halqa-e-ahbāb nahīñ hai
nam is liye aankhon mein numu-yab nahin hai
mujh ret ke dariya mein kahin aab nahin hai
nindon ki talabgar to hai aankh hamari
bas masala ye hai ki koi KHwab nahin hai
bazar mein bhi hath pakaD leta hai mera
ye ishq abhi waqif-e-adab nahin hai
tu wasl ka mausam hai sada sabz rahega
main hijr ka wo khet jo sairab nahin hai
ye log tere ishq se mahrum hain malik
aur is se baDa dukh koi betab nahin hai
kis ranj ne dagha hai tere husn pe bosa
aankhon mein wo pahli si tab-o-tab nahin hai
mushkil hai ki ab koi pisar bap pe jae
rustam to bahut hain koi sohrab nahin hai
ye dukh bhi baDa dukh hai ki is shahr mein 'shiran'
ahbab to hain halqa-e-ahbab nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.