namak in aansuon mein kam na tha par nam bahut achchha
namak in aansuon mein kam na tha par nam bahut achchha
Mohammad Izhar ul Haq
MORE BYMohammad Izhar ul Haq
namak in āñsuoñ meñ kam na thā par nam bahut achchhā
gharoñ meñ dāna-e-gandum na thā mātam bahut thā
mirī āñkhoñ pe bhī zartār parde jhūlte the
tire bāloñ meñ bhī kuchh in dinoñ resham bahut thā
maze saare tamāsha-gāh-e-duniyā meñ uThā.e
magar ik baat jo dil meñ thī jis kā ġham bahut thā
siyāhī raat kī pīchhe samundar din kā aage
sitāra sub.h kā merī tarah maddham bahut thā
badalte jā rahe the jism apnī hai.ateñ bhī
ki rasta tañg thā aur yuuñ ki us meñ ḳham bahut thā
namak in aansuon mein kam na tha par nam bahut achchha
gharon mein dana-e-gandum na tha matam bahut tha
meri aankhon pe bhi zartar parde jhulte the
tere baalon mein bhi kuchh in dinon resham bahut tha
maze sare tamasha-gah-e-duniya mein uThae
magar ek baat jo dil mein thi jis ka gham bahut tha
siyahi raat ki pichhe samundar din ka aage
sitara subh ka meri tarah maddham bahut tha
badalte ja rahe the jism apni haiaten bhi
ki rasta tang tha aur yun ki us mein KHam bahut tha
- Book : Urdu Adab (Pg. 62)
- Author : Iqbal Hussain
- Publication : Iqbal Hussain Publishers (Jan, Feb. Mar 1996)
- Edition : Jan, Feb. Mar 1996
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.