namak zaKHmon pe rakkha hai kisi ne
namak zaḳhmoñ pe rakkhā hai kisī ne
banāyā phir parāyā hai kisī ne
musalsal hichkiyāñ batlā rahī haiñ
mire baare meñ sochā hai kisī ne
mujhe ġham de ke ḳhushiyāñ chhīn liiñ sab
kiyā ye kaam achchhā hai kisī ne
dilāsā sab mujhe dete rahe par
na merā dard samjhā hai kisī ne
pareshāñ-hāl kyoñ itne ho 'shāriq'
diyā ulfat meñ dhokā hai kisī ne
namak zaKHmon pe rakkha hai kisi ne
banaya phir paraya hai kisi ne
musalsal hichkiyan batla rahi hain
mere bare mein socha hai kisi ne
mujhe gham de ke KHushiyan chhin lin sab
kiya ye kaam achchha hai kisi ne
dilasa sab mujhe dete rahe par
na mera dard samjha hai kisi ne
pareshan-haal kyon itne ho 'shaariq'
diya ulfat mein dhoka hai kisi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.