Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nami ho jis ki aankhon mein wo banjar ho nahin sakta

Navin Joshi

nami ho jis ki aankhon mein wo banjar ho nahin sakta

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    namī ho jis āñkhoñ meñ vo banjar ho nahīñ saktā

    jise miTTī se nisbat ho vo patthar ho nahīñ saktā

    vo sāhil ho nahīñ saktā talātum ho jis ko Dar

    jo sāhil se na Takrā.e samundar ho nahīñ saktā

    na chheḌe bādbāñ ko jo na patvār se uljhe

    kisī kashtī ko vo tūfāñ mayassar ho nahīñ saktā

    vo phir ik lams se ḳhushbū se aahaT se hotā hai

    jo jaadū sirf nazroñ se ujāgar ho nahīñ saktā

    sukūñ ho pyaar ho phir vo chāhe ḳhud ḳhudā ho

    agar bhītar nahīñ hai to vo bāhar ho nahīñ saktā

    zamāne bhar lāshoñ par bhī ho jaa.e khaḌī nafrat

    par us qad mohabbat ke barābar ho nahīñ saktā

    nami ho jis ki aankhon mein wo banjar ho nahin sakta

    jise miTTi se nisbat ho wo patthar ho nahin sakta

    wo sahil ho nahin sakta talatum ka ho jis ko Dar

    jo sahil se na Takrae samundar ho nahin sakta

    na chheDe baadban ko jo na hi patwar se uljhe

    kisi kashti ko wo tufan mayassar ho nahin sakta

    wo phir ek lams se KHushbu se ya aahaT se hota hai

    jo jadu sirf nazron se ujagar ho nahin sakta

    sukun ho pyar ho ya phir wo chahe KHud KHuda hi ho

    agar bhitar nahin hai to wo bahar ho nahin sakta

    zamane bhar ki lashon par bhi ho jae khaDi nafrat

    par us ka qad mohabbat ke barabar ho nahin sakta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now