nanha sa diya hai ki tah-e-ab hai raushan
nanhā sā diyā hai ki tah-e-āb hai raushan
bujhtī huī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb hai raushan
sunsān jazīre meñ chamaktā huā taarā
dil hai ki koī kashtī-e-shab-tāb hai raushan
dahshat ke farishte haiñ fasīloñ pe havā kī
aur chāroñ taraf shahr ke sailāb hai raushan
maiñ Dūbtā jaatā huuñ tirī mauj-e-badan meñ
yuuñ raqs meñ kirneñ haiñ ki gardāb hai raushan
haañ jism ke is qarya-e-be-nūr ke andar
ab bhī vo tire lams kā mahtāb hai raushan
maiñ DhūñDhtā phirtā huuñ jise bām-e-falak par
vo chāñd sar-e-halqa-e-ahbāb hai raushan
'shāhid' ki jo vo ḳhāk-nashīñ mahram-e-jāñ hai
sajdoñ se abhī us ke ye mehrāb hai raushan
nanha sa diya hai ki tah-e-ab hai raushan
bujhti hui aankhon mein koi KHwab hai raushan
sunsan jazire mein chamakta hua tara
dil hai ki koi kashti-e-shab-tab hai raushan
dahshat ke farishte hain fasilon pe hawa ki
aur chaaron taraf shahr ke sailab hai raushan
main Dubta jata hun teri mauj-e-badan mein
yun raqs mein kirnen hain ki gardab hai raushan
han jism ke is qarya-e-be-nur ke andar
ab bhi wo tere lams ka mahtab hai raushan
main DhunDhta phirta hun jise baam-e-falak par
wo chand sar-e-halqa-e-ahbab hai raushan
'shahid' ki jo wo KHak-nashin mahram-e-jaan hai
sajdon se abhi us ke ye mehrab hai raushan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.