nanhe hathon mein kaTora nahin dekha jata
nanhe hāthoñ meñ kaTorā nahīñ dekhā jaatā
ham se ġhurbat ye tamāshā nahīñ dekhā jaatā
hākim-e-vaqt batā kaise guzāreñ shab-o-roz
har taraf ḳhauf kā pahrā nahīñ dekhā jaatā
dostoñ haq ke liye ho ke anā kī ḳhātir
jang meñ apnā parāyā nahīñ dekhā jaatā
is liye 'ilm kī sham'oñ ko jalāte haiñ ham
shahr kā ham se añdherā nahīñ dekhā jaatā
kabhī ik Dūbne vaale kī sunī thiiñ chīḳheñ
ham se ab jānib-e-dariyā nahīñ dekhā jaatā
yak-ba-yak jaise badal jaatā hai mausam 'rizvāñ'
is tarah us kā badalnā nahīñ dekhā jaatā
nanhe hathon mein kaTora nahin dekha jata
hum se ghurbat ye tamasha nahin dekha jata
hakim-e-waqt bata kaise guzaren shab-o-roz
har taraf KHauf ka pahra nahin dekha jata
doston haq ke liye ho ke ana ki KHatir
jang mein apna paraya nahin dekha jata
is liye 'ilm ki sham'on ko jalate hain hum
shahr ka hum se andhera nahin dekha jata
kabhi ek Dubne wale ki suni thin chiKHen
hum se ab jaanib-e-dariya nahin dekha jata
yak-ba-yak jaise badal jata hai mausam 'rizwan'
is tarah us ka badalna nahin dekha jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.