nanhe paron ki jaan ke pichhe paDe rahe
nanhe paroñ kī jaan ke pīchhe paḌe rahe
bachpan se ham uḌaan ke pīchhe paḌe rahe
itnī baḌī zamīn atā kī ga.ī hameñ
phir bhī ham āsmān ke pīchhe paḌe rahe
maiñ to ye kah rahā thā ki sar kaaT lījiye
par vo mirī zabān ke pīchhe paḌe rahe
ham donoñ ek dūsre kī jaan the magar
ik-dūsre kī jaan ke pīchhe paḌe rahe
farmān to ḳhudā kī taraf lauTne kā thā
lekin ham is jahān ke pīchhe paḌe rahe
nanhe paron ki jaan ke pichhe paDe rahe
bachpan se hum uDan ke pichhe paDe rahe
itni baDi zamin ata ki gai hamein
phir bhi hum aasman ke pichhe paDe rahe
main to ye kah raha tha ki sar kaT lijiye
par wo meri zaban ke pichhe paDe rahe
hum donon ek dusre ki jaan the magar
ik-dusre ki jaan ke pichhe paDe rahe
farman to KHuda ki taraf lauTne ka tha
lekin hum is jahan ke pichhe paDe rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.