naqab apne ruKH se uThaya to hota
naqāb apne ruḳh se uThāyā to hotā
mujhe apnā jalva dikhāyā to hotā
abas chārasāzoñ ko dete ho zahmat
yahāñ tak koī us ko laayā to hotā
sar-e-bazm un kā bigaḌne se matlab
gunāh-e-mohabbat batāyā to hotā
har ik shai se kyoñ phuuT niklī tajallī
chhupe the to ḳhud ko chhupāyā to hotā
nazākat mohabbat kī phir tum samajhte
kabhī bār-e-ulfat uThāyā to hotā
gul-e-tar kī āġhosh meñ hañsne vaale
mire ġham-kade meñ bhī aaya to hotā
ye mumkin hai vo raah par aa.eñ 'jauhar'
kabhī qissa-e-dil sunāyā to hotā
naqab apne ruKH se uThaya to hota
mujhe apna jalwa dikhaya to hota
abas chaarasazon ko dete ho zahmat
yahan tak koi us ko laya to hota
sar-e-bazm un ka bigaDne se matlab
gunah-e-mohabbat bataya to hota
har ek shai se kyon phuT nikli tajalli
chhupe the to KHud ko chhupaya to hota
nazakat mohabbat ki phir tum samajhte
kabhi bar-e-ulfat uThaya to hota
gul-e-tar ki aaghosh mein hansne wale
mere gham-kade mein bhi aaya to hota
ye mumkin hai wo rah par aaen 'jauhar'
kabhi qissa-e-dil sunaya to hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.