naqab-e-fitrat uTha raha hun wafa ka chehra dikha raha hun
naqāb-e-fitrat uThā rahā huuñ vafā kā chehra dikhā rahā huuñ
kabhī jo apnā na ho sakā thā usī ko apnā banā rahā huuñ
jo sust baiThī haiñ ārzūeñ maiñ un ke shāne hilā rahā huuñ
jo thak ke jazbāt so rahe haiñ unheñ maiñ phir se jagā rahā huuñ
havā.eñ ho jā.eñgī muḳhālif nahīñ mujhe is kī koī parvā
lahū kī būñdeñ girā girā kar maiñ apnā gulshan sajā rahā huuñ
maiñ dushmanī ke qarīb jā kar talāsh kartā huuñ dostī ko
jo mujh se nafrat barat rahe haiñ unheñ maiñ apnā banā rahā huuñ
sitam tumhārā jafā tumhārī jo yaad aane lage haiñ mujh ko
gumān kuchh aisā ho rahā hai tumheñ bhī maiñ yaad aa rahā huuñ
nahīñ hai hairat kī baat koī ye zarf merā hai merī jur.at
hai jis jagah bijliyoñ kī kasrat vahīñ nasheman banā rahā huuñ
maiñ jāntā huuñ vajūd phūloñ kā aur kāñToñ kā hai chaman meñ
maiñ phuul bhī chun rahā huuñ aur ḳhaar se bhī dāman bachā rahā huuñ
tumhāre kaam aa.egā hamesha ye tohfa-e-dil qubūl kar lo
tumhārā chehra dikhāne tum ko ik aa.ina saath lā rahā huuñ
jo merā andāz-e-guftugū hai vahī hai ijz-e-mohabbat 'akmal'
ġhazal ke parde meñ aaj afsāna apnā un ko sunā rahā huuñ
naqab-e-fitrat uTha raha hun wafa ka chehra dikha raha hun
kabhi jo apna na ho saka tha usi ko apna bana raha hun
jo sust baiThi hain aarzuen main un ke shane hila raha hun
jo thak ke jazbaat so rahe hain unhen main phir se jaga raha hun
hawaen ho jaengi muKHalif nahin mujhe is ki koi parwa
lahu ki bunden gira gira kar main apna gulshan saja raha hun
main dushmani ke qarib ja kar talash karta hun dosti ko
jo mujh se nafrat barat rahe hain unhen main apna bana raha hun
sitam tumhaara jafa tumhaari jo yaad aane lage hain mujh ko
guman kuchh aisa ho raha hai tumhein bhi main yaad aa raha hun
nahin hai hairat ki baat koi ye zarf mera hai meri jurat
hai jis jagah bijliyon ki kasrat wahin nasheman bana raha hun
main jaanta hun wajud phulon ka aur kanTon ka hai chaman mein
main phul bhi chun raha hun aur KHar se bhi daman bacha raha hun
tumhaare kaam aaega hamesha ye tohfa-e-dil qubul kar lo
tumhaara chehra dikhane tum ko ek aaina sath la raha hun
jo mera andaz-e-guftugu hai wahi hai ijz-e-mohabbat 'akmal'
ghazal ke parde mein aaj afsana apna un ko suna raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.