naqab ruKH se kisi ne uThae hain kya kya
naqāb ruḳh se kisī ne uThā.e haiñ kyā kyā
dil-o-nigāh meñ jalve samā.e haiñ kyā kyā
vo aa rahe haiñ vo aa.e vo ham-kalām hue
tasavvurāt kī mahfil sajā.e haiñ kyā kyā
har imtihāñ meñ hamīñ ek kāmyāb hue
rah-e-vafā meñ qadam Dagmagā.e haiñ kyā kyā
nigāh-e-nāz uThā dekh dil-figāroñ ko
tirī janāb meñ sauġhāt laa.e haiñ kyā kyā
dil-o-nazar kā añdherā kisī tarah na gayā
charāġh-e-dair-o-haram jagmagā.e haiñ kyā kyā
jigar kā daaġh ḳhalish dil kī karb āñkhoñ kā
dayār-e-husn se in.aam paa.e haiñ kyā kyā
isī liye to mirī shā.erī ke charche haiñ
hikāyat-e-dil-e-pur-ḳhūñ sunā.e haiñ kyā kyā
vufūr-e-ġham se bujhe jā rahe haiñ lāla-o-gul
hamāre zaḳhm-e-jigar muskurā.e haiñ kyā kyā
naqab ruKH se kisi ne uThae hain kya kya
dil-o-nigah mein jalwe samae hain kya kya
wo aa rahe hain wo aae wo ham-kalam hue
tasawwuraat ki mahfil sajae hain kya kya
har imtihan mein hamin ek kaamyab hue
rah-e-wafa mein qadam Dagmagae hain kya kya
nigah-e-naz uTha dekh dil-figaron ko
teri janab mein saughat lae hain kya kya
dil-o-nazar ka andhera kisi tarah na gaya
charagh-e-dair-o-haram jagmagae hain kya kya
jigar ka dagh KHalish dil ki karb aankhon ka
dayar-e-husn se inam pae hain kya kya
isi liye to meri shaeri ke charche hain
hikayat-e-dil-e-pur-KHun sunae hain kya kya
wufur-e-gham se bujhe ja rahe hain lala-o-gul
hamare zaKHm-e-jigar muskurae hain kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.