naqd-e-dil le kar phire hum naqd-e-jaan le kar phire
naqd-e-dil le kar phire ham naqd-e-jāñ le kar phire
dil meñ kyā kyā ārzūoñ kā jahāñ le kar phire
ek bhī to terī bastī meñ na thā pursān-e-ġham
ham to āñkhoñ meñ hazāroñ dāstāñ le kar phire
ham na hoñge to hamāre naqsh-e-pā kaam ā.eñge
zindagī ko kyoñ koī ab sargirāñ le kar phire
ai kalīm apnī hikāyāt-e-junūñ haiñ be-shumār
tum faqat ik tuur hī kī dāstāñ le kar phire
koī bhī manzil na thī nazroñ meñ jin kī ai nadīm
zindagī bhar qaum kā vo kārvāñ le kar phire
ek vo haiñ ban ga.e haiñ ḳhud kisī kī dāstāñ
ek vo haiñ jo kisī kī dāstāñ le kar phire
ḳhalvat-e-zulmāt hī meñ 'shā.era' dekhā unheñ
jo nazar meñ vus.at-e-kaun-o-makāñ le kar phire
naqd-e-dil le kar phire hum naqd-e-jaan le kar phire
dil mein kya kya aarzuon ka jahan le kar phire
ek bhi to teri basti mein na tha pursan-e-gham
hum to aankhon mein hazaron dastan le kar phire
hum na honge to hamare naqsh-e-pa kaam aaenge
zindagi ko kyon koi ab sargiran le kar phire
ai kalim apni hikayat-e-junun hain be-shumar
tum faqat ek tur hi ki dastan le kar phire
koi bhi manzil na thi nazron mein jin ki ai nadim
zindagi bhar qaum ka wo karwan le kar phire
ek wo hain ban gae hain KHud kisi ki dastan
ek wo hain jo kisi ki dastan le kar phire
KHalwat-e-zulmat hi mein 'shaera' dekha unhen
jo nazar mein wusat-e-kaun-o-makan le kar phire
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.