naqib-e-baKHt sare so chuke hain
naqīb-e-baḳht saare so chuke haiñ
bil-āḳhir be-sahāre so chuke haiñ
kisī se ḳhvāb meñ milnā hai shāyad
ki vo gesū sañvāre so chuke haiñ
mujhe bhī ḳhud se vahshat ho rahī hai
sabhī jazbe tumhāre so chuke haiñ
ka.ī māyūs māhī-gīr āḳhir
samundar ke kināre so chuke haiñ
shab-e-tanhā.ī jūñ-tūñ kaT rahī hai
ġham-e-furqat ke maare so chuke haiñ
muqaffal phir se kar lo koTharī ko
'sahar' so jaao taare so chuke haiñ
naqib-e-baKHt sare so chuke hain
bil-aKHir be-sahaare so chuke hain
kisi se KHwab mein milna hai shayad
ki wo gesu sanware so chuke hain
mujhe bhi KHud se wahshat ho rahi hai
sabhi jazbe tumhaare so chuke hain
kai mayus mahi-gir aaKHir
samundar ke kinare so chuke hain
shab-e-tanhai jun-tun kaT rahi hai
gham-e-furqat ke mare so chuke hain
muqaffal phir se kar lo koThari ko
'sahar' so jao tare so chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.