naqsh aaKHir aap apna hadisa ho jaega
naqsh āḳhir aap apnā hādisa ho jā.egā
aur tai vahm-o-yaqīñ kā marhala ho jā.egā
guuñj uTTheñge dar-o-dīvār apne karb se
lafz jo tishna hai mā'nī-āshnā ho jā.egā
jism bhī pighleñge saa.e bhī na Thahreñge kahīñ
jaane kab ye sabz manzar bhī havā ho jā.egā
log sab us kī kahānī jaan leñge harf harf
aur vo ḳhush-posh khul kar be-ridā ho jā.egā
peḌ ugleñge siyāhī kā samundar dekhnā
mausam-e-ḳhush-rañg 'muztar' zaḳhm-e-pā ho jā.egā
naqsh aaKHir aap apna hadisa ho jaega
aur tai wahm-o-yaqin ka marhala ho jaega
gunj uTThenge dar-o-diwar apne karb se
lafz jo tishna hai ma'ni-ashna ho jaega
jism bhi pighlenge sae bhi na Thahrenge kahin
jaane kab ye sabz manzar bhi hawa ho jaega
log sab us ki kahani jaan lenge harf harf
aur wo KHush-posh khul kar be-rida ho jaega
peD uglenge siyahi ka samundar dekhna
mausam-e-KHush-rang 'muztar' zaKHm-e-pa ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.