naqsh-bar-ab thi jo dam-o-diram ne baKHshi
naqsh-bar-āb thī jo dām-o-diram ne baḳhshī
ziist ko daulat-e-nāyāb to ġham ne baḳhshī
ahl-e-dastār na arbāb-e-karam ne baḳhshī
izzat-e-nafs mujhe lauh-o-qalam ne baḳhshī
ābyārī na huī āb-e-guhar se us kī
naḳhl-e-irfāñ ko numū dīda-e-nam ne baḳhshī
varna kyā un meñ thā ik jazba-e-hairāñ ke sivā
terī āñkhoñ ko ye goyā.ī to ham ne baḳhshī
umr bhar ham ko mayassar rahī betābī-e-dil
jo ḳhudā ne nahīñ baḳhshī vo sanam ne baḳhshī
jis ne pāmard rakhā ham ko sitamgar ke ḳhilāf
vo azīmat hameñ ḳhud us ke sitam ne baḳhshī
kitnī be-faiz virāsat hai vo tārīḳh-e-ziyāñ
jo hameñ chapqulash-e-dair-o-haram ne baḳhshī
harf-e-tāzī se bhī paayā hai bahut faiz magar
mere iz.hār ko lai sāz-e-ajam ne baḳhshī
naqsh-bar-ab thi jo dam-o-diram ne baKHshi
zist ko daulat-e-nayab to gham ne baKHshi
ahl-e-dastar na arbab-e-karam ne baKHshi
izzat-e-nafs mujhe lauh-o-qalam ne baKHshi
aabyari na hui aab-e-guhar se us ki
naKHl-e-irfan ko numu dida-e-nam ne baKHshi
warna kya un mein tha ek jazba-e-hairan ke siwa
teri aankhon ko ye goyai to hum ne baKHshi
umr bhar hum ko mayassar rahi betabi-e-dil
jo KHuda ne nahin baKHshi wo sanam ne baKHshi
jis ne pamard rakha hum ko sitamgar ke KHilaf
wo azimat hamein KHud us ke sitam ne baKHshi
kitni be-faiz wirasat hai wo tariKH-e-ziyan
jo hamein chapqulash-e-dair-o-haram ne baKHshi
harf-e-tazi se bhi paya hai bahut faiz magar
mere izhaar ko lai saz-e-ajam ne baKHshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.