naqsh dil pe ruKHsat ki wo ghaDi nahin hoti
naqsh dil pe ruḳhsat kī vo ghaḌī nahīñ hotī
kaash merī āñkhoñ meñ raushnī nahīñ hotī
mujh se dil kī har TuuTī aarzū ye kahtī hai
sirf saañs lenā hī zindagī nahīñ hotī
yā tumheñ nahīñ aatā dil ko lūTne kā fan
yā mirī hī fitrat meñ āshiqī nahīñ hotī
aise chhāyā āñkhoñ meñ ruup shoḳhiyoñ vaalā
tujh se duur rah kar bhī bekalī nahīñ hotī
ye samajh bhī jīvan meñ aate aate aatī hai
har kisī kī qismat meñ har ḳhushī nahīñ hotī
pūchh kaise kaTtī haiñ tere hijr kī rāteñ
chāñd to nikaltā hai chāñdnī nahīñ hotī
naqsh dil pe ruKHsat ki wo ghaDi nahin hoti
kash meri aankhon mein raushni nahin hoti
mujh se dil ki har TuTi aarzu ye kahti hai
sirf sans lena hi zindagi nahin hoti
ya tumhein nahin aata dil ko luTne ka fan
ya meri hi fitrat mein aashiqi nahin hoti
aise chhaya aankhon mein rup shoKHiyon wala
tujh se dur rah kar bhi bekali nahin hoti
ye samajh bhi jiwan mein aate aate aati hai
har kisi ki qismat mein har KHushi nahin hoti
puchh kaise kaTti hain tere hijr ki raaten
chand to nikalta hai chandni nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.