naqsh-e-diwar wo surat bhi gai
naqsh-e-dīvār vo sūrat bhī ga.ī
merī āñkhoñ kī vo vahshat bhī ga.ī
vo diyā bujh gayā mere andar
vo havāoñ se raqābat bhī ga.ī
jāñ-sipārī ke bahut da.ave the
ab to jiine kī nadāmat bhī ga.ī
sa.ī-e-āsūdgī-e-vasl to kyā
girya-e-shab kī vo fursat bhī ga.ī
din ko saa.e se to kuchh saath bhī the
raat ko phir ye rifāqat bhī ga.ī
jin se zinda the zamīr-o-ehsās
ab vo andar kī malāmat bhī ga.ī
sar bhī rusvā haiñ ki saudā na rahā
sañg-e-dīvār kī izzat bhī ga.ī
naqsh-e-diwar wo surat bhi gai
meri aankhon ki wo wahshat bhi gai
wo diya bujh gaya mere andar
wo hawaon se raqabat bhi gai
jaan-sipari ke bahut dawe the
ab to jine ki nadamat bhi gai
sai-e-asudgi-e-wasl to kya
girya-e-shab ki wo fursat bhi gai
din ko sae se to kuchh sath bhi the
raat ko phir ye rifaqat bhi gai
jin se zinda the zamir-o-ehsas
ab wo andar ki malamat bhi gai
sar bhi ruswa hain ki sauda na raha
sang-e-diwar ki izzat bhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.