naqsh-e-pa DhunDne nikla tha jahan tak aaya
naqsh-e-pā DhūñDne niklā thā jahāñ tak aayā
nit-na.e naqsh banātā maiñ yahāñ tak aayā
gaañv ko chhoḌ ke aane kā irāda thā mirā
shahr meñ ek rafūgar kī dukāñ tak aayā
aable phoḌ ke chaltā huā aayā lekin
surḳh phūloñ ke ta'āqub meñ yahāñ tak aayā
agle hī moḌ pe vo 'aks milegā mujh ko
maiñ isī zo'm meñ qadmoñ ke nishāñ tak aayā
naqsh-e-pa DhunDne nikla tha jahan tak aaya
nit-nae naqsh banata main yahan tak aaya
ganw ko chhoD ke aane ka irada tha mera
shahr mein ek rafugar ki dukan tak aaya
aable phoD ke chalta hua aaya lekin
surKH phulon ke ta'aqub mein yahan tak aaya
agle hi moD pe wo 'aks milega mujh ko
main isi zo'm mein qadmon ke nishan tak aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.