naqsh-e-qadam ke sath wo raste miTa ke rah gain
Interesting Fact
نذرفراقؔ
naqsh-e-qadam ke saath vo raste miTā ke rah ga.iiñ
andhe safar ko āñdhiyāñ kitnā baḌhā ke rah ga.iiñ
sab ke vajūd ke liye kun kī sadā ke aate hī
arz-o-samā kī vus.ateñ us meñ samā ke rah ga.iiñ
hāthoñ se kāñpte rahe sūkhe hue sanā ke phuul
pesh-e-asar duā.eñ bhī āñkheñ jhukā ke rah ga.iiñ
ek baras to bhiig le sahn bhī chhat ke saath saath
aisī hī ek do ḳhvāhisheñ dil ko dukhā ke rah ga.iiñ
pursish-e-hāl par tire lab to ḳhamosh hī rahe
āñkhoñ ko jaane kyā huā aañsū girā ke rah ga.iiñ
kitnī duā.eñ māñgī thiiñ ham ne sahar ke vāste
us kī shuā.eñ kyā kareñ āñkheñ bujhā ke rah ga.iiñ
dekh ke be-samar shajar baaġh meñ 'raaj is baras
dil ko ka.ī kahāniyāñ yaad sī aa ke rah ga.iiñ
naqsh-e-qadam ke sath wo raste miTa ke rah gain
andhe safar ko aandhiyan kitna baDha ke rah gain
sab ke wajud ke liye kun ki sada ke aate hi
arz-o-sama ki wusaten us mein sama ke rah gain
hathon se kanpte rahe sukhe hue sana ke phul
pesh-e-asar duaen bhi aankhen jhuka ke rah gain
ek baras to bhig le sahn bhi chhat ke sath sath
aisi hi ek do KHwahishen dil ko dukha ke rah gain
pursish-e-haal par tere lab to KHamosh hi rahe
aankhon ko jaane kya hua aansu gira ke rah gain
kitni duaen mangi thin hum ne sahar ke waste
us ki shuaen kya karen aankhen bujha ke rah gain
dekh ke be-samar shajar bagh mein 'raj is baras
dil ko kai kahaniyan yaad si aa ke rah gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.