naqsh-e-tilism-e-wahm hai duniya kahen jise
naqsh-e-tilism-e-wahm hai duniya kahen jise
Syed Wajid Ali Farrukh Banarsi
MORE BYSyed Wajid Ali Farrukh Banarsi
naqsh-e-tilism-e-vahm hai duniyā kaheñ jise
nairangī-e-nazar hai tamāshā kaheñ jise
vo sāmne haiñ aur nahīñ tāqat-e-nigāh
be-pardagī bhī vo hai ki pardā kaheñ jise
sharh-e-haqīqat-e-talab-e-nā-tamām hai
ik daftar-e-shikāyat-e-bejā kaheñ jise
us jalva-gāh-e-nāz kī allah re dilkashī
hairānī-e-nazar hai tamāshā kaheñ jise
mauqūf hai ḳhayāl pe ehsās-e-kā.enāt
hai ik nazāra ḳhvāb kā duniyā kaheñ jise
ā.īna-vār vus.at-e-zauq-e-junūñ kā hai
har zarra merī ḳhaak kā sahrā kaheñ jise
dil hai jabīn-e-shauq ke parde meñ sajda-rez
ik naqsh-e-bandagī hai suvaidā kaheñ jise
shikvoñ meñ rang-e-shoḳhī-e-husn-e-talab rahe
yuuñ ho gilā sitam kā taqāzā kaheñ jise
tārāj-e-shoḳhī-e-nigah-e-nāz ho gayā
vo dil ki dard-e-ishq kī duniyā kaheñ jise
hotā hai juzv kul kī haqīqat kā aa.ina
qatroñ kā ijtimā hai dariyā kaheñ jise
'farruḳh' malāl hī se safā.ī kā lutf hai
ik ḳhaas adā hai ranjish-e-be-jā kaheñ jise
naqsh-e-tilism-e-wahm hai duniya kahen jise
nairangi-e-nazar hai tamasha kahen jise
wo samne hain aur nahin taqat-e-nigah
be-pardagi bhi wo hai ki parda kahen jise
sharh-e-haqiqat-e-talab-e-na-tamam hai
ek daftar-e-shikayat-e-beja kahen jise
us jalwa-gah-e-naz ki allah re dilkashi
hairani-e-nazar hai tamasha kahen jise
mauquf hai KHayal pe ehsas-e-kaenat
hai ek nazara KHwab ka duniya kahen jise
aaina-war wusat-e-zauq-e-junun ka hai
har zarra meri KHak ka sahra kahen jise
dil hai jabin-e-shauq ke parde mein sajda-rez
ek naqsh-e-bandagi hai suwaida kahen jise
shikwon mein rang-e-shoKHi-e-husn-e-talab rahe
yun ho gila sitam ka taqaza kahen jise
taraj-e-shoKHi-e-nigah-e-naz ho gaya
wo dil ki dard-e-ishq ki duniya kahen jise
hota hai juzw kul ki haqiqat ka aaina
qatron ka ijtima hai dariya kahen jise
'farruKH' malal hi se safai ka lutf hai
ek KHas ada hai ranjish-e-be-ja kahen jise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.