Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

naqsh-o-nigar-e-zist ka saman na kar sake

Bashir Farooq

naqsh-o-nigar-e-zist ka saman na kar sake

Bashir Farooq

MORE BYBashir Farooq

    naqsh-o-nigār-e-zīst sāmāñ na kar sake

    apnā lahū jo sarf-e-gulistāñ na kar sake

    vo kam-nasīb jin ḳhizāñ meñ khulī thī aañkh

    andāza-e-jamāl-e-bahārāñ na kar sake

    har ek nāḳhudā ne safīnoñ pe ḳhair se

    ehsān vo kiye haiñ jo tūfāñ na kar sake

    apne bhī dāġh-e-dil mah-o-anjum se kam na the

    ye aur baat hai ki farozāñ na kar sake

    is vāste har ik ko nayā ġham diyā gayā

    koī kisī ke dard darmāñ na kar sake

    vo ġham-gusārī-e-ġham-e-daurāñ kareñge kyā

    jo pās-e-ḳhātir-e-ġham-e-daurāñ na kar sake

    'fārūq' tum ne ḳhud ko musalmāñ to kar liyā

    us kufr-mājrā ko musalmāñ na kar sake

    naqsh-o-nigar-e-zist ka saman na kar sake

    apna lahu jo sarf-e-gulistan na kar sake

    wo kam-nasib jin ki KHizan mein khuli thi aankh

    andaza-e-jamal-e-bahaaran na kar sake

    har ek naKHuda ne safinon pe KHair se

    ehsan wo kiye hain jo tufan na kar sake

    apne bhi dagh-e-dil mah-o-anjum se kam na the

    ye aur baat hai ki farozan na kar sake

    is waste har ek ko naya gham diya gaya

    koi kisi ke dard ka darman na kar sake

    wo gham-gusari-e-gham-e-dauran karenge kya

    jo pas-e-KHatir-e-gham-e-dauran na kar sake

    'faruq' tum ne KHud ko musalman to kar liya

    us kufr-majra ko musalman na kar sake

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now