naqsh takmil tak pahunchta hai
naqsh takmīl tak pahuñchtā hai
aks bas aap kā ubhartā hai
ab mohabbat kī aur had kyā ho
merī beTī meñ tū ubhartā hai
merī sāñsoñ meñ hai tirī ḳhushbū
merī mehñdī meñ tū hī rachtā hai
duur ho kar bhī mujh se duur nahīñ
merī sāñsoñ meñ tū mahaktā hai
ek bastī jalā.ī thī us ne
ab ke hākim hai kyā vo kartā hai
vo jo ilm-o-adab meñ baune haiñ
un kā sikka suḳhan meñ chaltā hai
dil kī mizrāb par 'rabāb' ab ke
dekhiye saaz kyā nikaltā hai
naqsh takmil tak pahunchta hai
aks bas aap ka ubharta hai
ab mohabbat ki aur had kya ho
meri beTi mein tu ubharta hai
meri sanson mein hai teri KHushbu
meri mehndi mein tu hi rachta hai
dur ho kar bhi mujh se dur nahin
meri sanson mein tu mahakta hai
ek basti jalai thi us ne
ab ke hakim hai kya wo karta hai
wo jo ilm-o-adab mein baune hain
un ka sikka suKHan mein chalta hai
dil ki mizrab par 'rabab' ab ke
dekhiye saz kya nikalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.