naqsha aisa hai mere shamshad ka
naqsha aisā hai mire shamshād kā
rang jamtā hī nahīñ bahzād kā
hausle dekho ki murġhān-e-chaman
DhūñDhte phirte haiñ ghar sayyād kā
har jafā-e-yār par hai sabr-o-shukr
hai vazīfa harche bādā-bād kā
jis kī ābādī ujāḌī aap ne
naam thā dil us ḳharāb-ābād kā
ilm pā.inda hai faanī hai hunar
naam likhne se rahā haddād kā
faiz-e-'nāsiḳh' 'rashk' meñ kyūñkar na ho
kālbud hai ḳhāk-e-faizabad kā
naqsha aisa hai mere shamshad ka
rang jamta hi nahin bahzad ka
hausle dekho ki murghan-e-chaman
DhunDhte phirte hain ghar sayyaad ka
har jafa-e-yar par hai sabr-o-shukr
hai wazifa harche baada-baad ka
jis ki aabaadi ujaDi aap ne
nam tha dil us KHarab-abaad ka
ilm painda hai fani hai hunar
nam likhne se raha haddad ka
faiz-e-'nasiKH' 'rashk' mein kyunkar na ho
kalbud hai KHak-e-faizabad ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.