nargis-e-mast teri jae jo tul barsar-e-gul
nargis-e-mast tirī jaa.e jo tul barsar-e-gul
teġh-e-abrū se girāve sar-e-gul barsar-e-gul
maujzan dekh tire husn kā dariyā-e-bahār
bāñdh de bād-e-sabā ḳhaak ke pul barsar-e-gul
apnī nāzuk-badanī se jo ho saaqī ko ḳhabar
phir to hargiz na piye baiTh ke mul barsar-e-gul
khol kar baaġh meñ terā juz-e-majmūa-e-husn
aaj laa.ī hai sabā āfat-e-kul barsar-e-gul
gar 'baqā' naaz se goyā ho mirā ġhuncha-dahan
gardan-e-ġhuncha gire sharm se Dhul barsar-e-gul
nargis-e-mast teri jae jo tul barsar-e-gul
tegh-e-abru se girawe sar-e-gul barsar-e-gul
maujzan dekh tere husn ka dariya-e-bahaar
bandh de baad-e-saba KHak ke pul barsar-e-gul
apni nazuk-badani se jo ho saqi ko KHabar
phir to hargiz na piye baiTh ke mul barsar-e-gul
khol kar bagh mein tera juz-e-majmua-e-husn
aaj lai hai saba aafat-e-kul barsar-e-gul
gar 'baqa' naz se goya ho mera ghuncha-dahan
gardan-e-ghuncha gire sharm se Dhul barsar-e-gul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.