narm phulon se kabhi Khaar se lag jate hain
narm phūloñ se kabhī ḳhaar se lag jaate haiñ
ham vo jugnū haiñ jo dīvār se lag jaate haiñ
do yatīmoñ kī mohabbat hai ye jo uḌte hue
ḳhushk patte mire ruḳhsār se lag jaate haiñ
itnī hamdardī se mat dekh mirī āñkhoñ meñ
kuchh maraz dīda-e-bīmār se lag jaate haiñ
jab tasavvur ke ḳharābe meñ tū aa jaatā hai
andar andar ka.ī bāzār se lag jaate haiñ
roz ronā hai jinheñ shāna kahāñ tak DhūñDhe
ham to rote hue dīvār se lag jaate haiñ
narm phulon se kabhi KHar se lag jate hain
hum wo jugnu hain jo diwar se lag jate hain
do yatimon ki mohabbat hai ye jo uDte hue
KHushk patte mere ruKHsar se lag jate hain
itni hamdardi se mat dekh meri aankhon mein
kuchh maraz dida-e-bimar se lag jate hain
jab tasawwur ke KHarabe mein tu aa jata hai
andar andar kai bazar se lag jate hain
roz rona hai jinhen shana kahan tak DhunDhe
hum to rote hue diwar se lag jate hain
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 30)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.