narm shagufta chandni hansta hua kanwal kahun
narm shagufta chandni hansta hua kanwal kahun
Khaleel-ur-Rahman Raaz
MORE BYKhaleel-ur-Rahman Raaz
narm shagufta chāñdnī hañstā huā kañval kahūñ
aisā koī sanam kahāñ jis ke liye ġhazal kahūñ
chāñd ko chehra-e-alam zaḳhm ko ik kañval kahūñ
dil mirā chāhtā hai aaj aisī koī ġhazal kahūñ
tāj-mahal ko marmarīñ jism kī ik ġhazal kahūñ
apnī ġhazal ko nuur kā uḌtā huā mahal kahūñ
jugnū ho yā sitāra ho ashk hai merī aañkh kā
māh-jabīñ ġhazāl ko apnī koī ġhazal kahūñ
aap kī baat chhoḌiye aap to be-misāl haiñ
husn-e-jafā-shi.ār ko kyuuñ na maiñ be-badal kahūñ
din hai farishta maut kā teġh-e-qazā liye hue
ġham kī siyāh raat ko sar pe khaḌī ajal kahūñ
rāh-e-hayāt pur-ḳhatar naqd-e-hayāt muḳhtasar
ishq ko be-asar kahūñ ilm ko be-amal kahūñ
tūl-e-shab-e-firāq se kam the ḳhushī ke māh-o-sāl
vasl kī ek umr ko hijr kā ek pal kahūñ
sach hai agar ki aadmī chāñd pe paañv rakh chukā
taare bhī toḌ saktā hai us ko bhī muhtamal kahūñ
fikr kī ye nazākateñ sher kī ye latāfateñ
husn kā ik asar kahūñ ishq kā ik amal kahūñ
sard anā kī kashmakash shām-e-firāq ban ga.ī
vo hai agar ba-zid to kyā 'rāz' ko bhī aTal kahūñ
narm shagufta chandni hansta hua kanwal kahun
aisa koi sanam kahan jis ke liye ghazal kahun
chand ko chehra-e-alam zaKHm ko ek kanwal kahun
dil mera chahta hai aaj aisi koi ghazal kahun
taj-mahal ko marmarin jism ki ek ghazal kahun
apni ghazal ko nur ka uDta hua mahal kahun
jugnu ho ya sitara ho ashk hai meri aankh ka
mah-jabin ghazal ko apni koi ghazal kahun
aap ki baat chhoDiye aap to be-misal hain
husn-e-jafa-shiar ko kyun na main be-badal kahun
din hai farishta maut ka tegh-e-qaza liye hue
gham ki siyah raat ko sar pe khaDi ajal kahun
rah-e-hayat pur-KHatar naqd-e-hayat muKHtasar
ishq ko be-asar kahun ilm ko be-amal kahun
tul-e-shab-e-firaq se kam the KHushi ke mah-o-sal
wasl ki ek umr ko hijr ka ek pal kahun
sach hai agar ki aadmi chand pe panw rakh chuka
tare bhi toD sakta hai us ko bhi muhtamal kahun
fikr ki ye nazakaten sher ki ye latafaten
husn ka ek asar kahun ishq ka ek amal kahun
sard ana ki kashmakash sham-e-firaq ban gai
wo hai agar ba-zid to kya 'raaz' ko bhi aTal kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.