nasha aata hai to phir waz bhi kah lete hain
nasha aatā hai to phir va.az bhī kah lete haiñ
pī ke ham aur bhī hushiyār hue jaate haiñ
teġh kī un ko pa.e-qatl zarūrat kyā hai
ḳhud hī khiñch khiñch ke vo talvār hue jaate haiñ
mast āñkhoñ ke ishāre mujhe dete haiñ ye tanz
be-piye aap to sarshār hue jaate haiñ
misl-e-mansūr jinheñ haq ne kiyā hai haq-go
aur bebāk sar-e-dār hue jaate haiñ
nasha aata hai to phir waz bhi kah lete hain
pi ke hum aur bhi hushiyar hue jate hain
tegh ki un ko pae-qatl zarurat kya hai
KHud hi khinch khinch ke wo talwar hue jate hain
mast aankhon ke ishaare mujhe dete hain ye tanz
be-piye aap to sarshaar hue jate hain
misl-e-mansur jinhen haq ne kiya hai haq-go
aur bebak sar-e-dar hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.