nasha daulat ka kuchh aisa chaDha hai
nasha daulat kā kuchh aisā chaḌhā hai
zamīñ par vo akaḌ kar chal rahā hai
bhalā.ī kā nahīñ kuchh bhī sila kyā
bhalā.ī karne vaalā sochtā hai
magar himmat bhī hai hamrāh mere
safar to vāqa'ī kāñToñ-bharā hai
had-e-manzil meñ ab mere qadam haiñ
bahut kam fāsla ab rah gayā hai
zamāne kī shikāyat kar rahe ho
batāo tum ne is ko kyā diyā hai
kahāñ maiñ aur kahāñ fan shā'irī kā
yaqīnan ye mire rab kī 'atā hai
milā 'yāsīn' se jo apnā ban kar
bharosa is ne us par kar liyā hai
nasha daulat ka kuchh aisa chaDha hai
zamin par wo akaD kar chal raha hai
bhalai ka nahin kuchh bhi sila kya
bhalai karne wala sochta hai
magar himmat bhi hai hamrah mere
safar to waqa'i kanTon-bhara hai
had-e-manzil mein ab mere qadam hain
bahut kam fasla ab rah gaya hai
zamane ki shikayat kar rahe ho
batao tum ne is ko kya diya hai
kahan main aur kahan fan sha'iri ka
yaqinan ye mere rab ki 'ata hai
mila 'yasin' se jo apna ban kar
bharosa is ne us par kar liya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.