nasha-e-ishq mein sarshaar hain kis ke uske
nasha-e-ishq mein sarshaar hain kis ke uske
Sipah Daar Khan Begun
MORE BYSipah Daar Khan Begun
nasha-e-ishq meñ sarshār haiñ kis ke us ke
muntazir aane ke har baar haiñ kis ke us ke
chārāgar chāragarī terī na kaam aa.egī
chashm-e-bīmār ke bīmār haiñ kis ke us ke
kaam dozaḳh se nahīñ aur nahīñ jannat se ġharaz
haañ magar tālib-e-dīdār haiñ kis ke us ke
vo to parda meñ hai sūrat nahīñ dikhlāte haiñ
saiñkaḌoñ phirte ḳharīdār haiñ kis ke us ke
kuchh taḌapte haiñ sisakte haiñ ka.ī haiñ behosh
sab ye jāñbāz talabgār haiñ kis ke us ke
mubtalā jurm meñ ham haiñ to tujhe kyā zāhid
ham ḳhatāvār gunahgār haiñ kis ke us ke
go gunahgār haiñ rahmat kā bharosā kar ke
ab to jaate sar-e-darbār haiñ kis ke us ke
qaid-e-maz.hab se jo chhūTe ga.e āzād ai shaiḳh
dām-e-ulfat meñ giraftār haiñ kis ke us ke
apnī qismat kā gila kījiye kis se 'be-gun'
dūr-az sāya-e-dīvār haiñ kis ke us ke
nasha-e-ishq mein sarshaar hain kis ke us ke
muntazir aane ke har bar hain kis ke us ke
chaaragar chaaragari teri na kaam aaegi
chashm-e-bimar ke bimar hain kis ke us ke
kaam dozaKH se nahin aur nahin jannat se gharaz
han magar talib-e-didar hain kis ke us ke
wo to parda mein hai surat nahin dikhlate hain
sainkaDon phirte KHaridar hain kis ke us ke
kuchh taDapte hain sisakte hain kai hain behosh
sab ye jaanbaz talabgar hain kis ke us ke
mubtala jurm mein hum hain to tujhe kya zahid
hum KHatawar gunahgar hain kis ke us ke
go gunahgar hain rahmat ka bharosa kar ke
ab to jate sar-e-darbar hain kis ke us ke
qaid-e-mazhab se jo chhuTe gae aazad ai shaiKH
dam-e-ulfat mein giraftar hain kis ke us ke
apni qismat ka gila kijiye kis se 'be-gun'
dur-az saya-e-diwar hain kis ke us ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.