nasha nasha hi hai aaKHir utar bhi sakta hai
nasha nasha hī hai āḳhir utar bhī saktā hai
havā ke saath jo uḌtā hai mar bhī saktā hai
tumheñ umiid hai us se javāb kī lekin
savāl sun ke tumhārā vo Dar bhī saktā hai
mujhe vo chhū le zarā sā to maiñ mahak jā.ūñ
vo to vujūd se ho kar guzar bhī saktā hai
paḌā hai shaḳhs jo chaukhaT pe sar jhukā kar maañ
tirī nigāh se ik din sañvar bhī saktā hai
banā hai aaj jo sab kī hī raah kā roḌā
vo apne aap luḌhak kar bikhar bhī saktā hai
koī upaa.e rihā.ī kā dekh le apnī
gavāh terā bayāñ se mukar bhī saktā hai
kisī bhī baat ko kahne kā qā'eda rakhnā
tire bayān kā lahja akhar bhī saktā hai
gunāh tū ne jo chhup kar 'nazar' kiye lekin
koī gunāh kisī din ubhar bhī saktā hai
nasha nasha hi hai aaKHir utar bhi sakta hai
hawa ke sath jo uDta hai mar bhi sakta hai
tumhein umid hai us se jawab ki lekin
sawal sun ke tumhaara wo Dar bhi sakta hai
mujhe wo chhu le zara sa to main mahak jaun
wo to wujud se ho kar guzar bhi sakta hai
paDa hai shaKHs jo chaukhaT pe sar jhuka kar man
teri nigah se ek din sanwar bhi sakta hai
bana hai aaj jo sab ki hi rah ka roDa
wo apne aap luDhak kar bikhar bhi sakta hai
koi upae rihai ka dekh le apni
gawah tera bayan se mukar bhi sakta hai
kisi bhi baat ko kahne ka qa'eda rakhna
tere bayan ka lahja akhar bhi sakta hai
gunah tu ne jo chhup kar 'nazar' kiye lekin
koi gunah kisi din ubhar bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.