nasha nasha sa hawaen rachae phirti hain
nasha nasha sā havā.eñ rachā.e phirtī haiñ
khilā khilā sā hai mausam tire sañvarne kā
maiñ aks aks chhupā huuñ hazār shīshoñ meñ
mujhe hai shauq ye rañgoñ se ab guzarne kā
kaTegī Dor na jab tak ulajhtī sāñsoñ kī
tamāsha ḳhuub rahegā ye ruup ubharne kā
ye roz roz sitāroñ kā TūTnā 'ārif'
sabab banā hai zamīñ ke shigāf bharne kā
nasha nasha sa hawaen rachae phirti hain
khila khila sa hai mausam tere sanwarne ka
main aks aks chhupa hun hazar shishon mein
mujhe hai shauq ye rangon se ab guzarne ka
kaTegi Dor na jab tak ulajhti sanson ki
tamasha KHub rahega ye rup ubharne ka
ye roz roz sitaron ka TuTna 'arif'
sabab bana hai zamin ke shigaf bharne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.