nashat-e-dard ka dariya utarne wala hai
nashāt-e-dard kā dariyā utarne vaalā hai
maiñ is se aur vo mujh se ubharne vaalā hai
maiñ us kī narm nigāhī se ho gayā māyūs
vo merī sāda-dilī se mukarne vaalā hai
vo mere ishq meñ dīvāna-vār phirne lage
ye mo.ajiza to faqat farz karne vaalā hai
mire ḳhayāl kī parvāz se jo vāqif hai
vo āshnā hī mire par katarne vaalā hai
abhī abhī mire kuchh dost aane vaale haiñ
maiñ sochtā thā har ik zaḳhm bharne vaalā hai
fasīl-e-jism pe kuchh naqsh chhoḌ jā.egā
jo hādisa mire dil par guzarne vaalā hai
bas is ḳhayāl meñ bigḌā rahā maiñ barsoñ tak
ab ek din meñ koī kyā sudharne vaalā hai
vo ban ke ziist mire paas aa gayā hai 'amar'
ye vaqt mere liye ain marne vaalā hai
nashat-e-dard ka dariya utarne wala hai
main is se aur wo mujh se ubharne wala hai
main us ki narm nigahi se ho gaya mayus
wo meri sada-dili se mukarne wala hai
wo mere ishq mein diwana-war phirne lage
ye moajiza to faqat farz karne wala hai
mere KHayal ki parwaz se jo waqif hai
wo aashna hi mere par katarne wala hai
abhi abhi mere kuchh dost aane wale hain
main sochta tha har ek zaKHm bharne wala hai
fasil-e-jism pe kuchh naqsh chhoD jaega
jo hadisa mere dil par guzarne wala hai
bas is KHayal mein bigDa raha main barson tak
ab ek din mein koi kya sudharne wala hai
wo ban ke zist mere pas aa gaya hai 'amar'
ye waqt mere liye ain marne wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.