nashat-e-duniya ko KHwab likhna masarraton ko sarab likhna
nashat-e-duniya ko KHwab likhna masarraton ko sarab likhna
Akhtar Saeedi
MORE BYAkhtar Saeedi
nashāt-e-duniyā ko ḳhvāb likhnā masarratoñ ko sarāb likhnā
jo ho sake to ġham-o-alam kī hikāyat-e-pur-kitāb likhnā
maiñ sarguzisht-e-hayāt apnī sahīfa-e-dil pe likh rahā huuñ
tū ahd-e-rafta ke mausamoñ ko na.e dinoñ kā azaab likhnā
maiñ apnī tahzīb ke havāle sipurd-e-qirtās kar chukā huuñ
tire muqaddar meñ kyā nahīñ hai koī daraḳhshanda baab likhnā
haiñ merī āñkhoñ meñ ḳhvāb tere isī liye to haiñ zaḳhm gahre
kisī ke bas meñ nahīñ hai shāyad hikāyat-e-iztirāb likhnā
maiñ apnī chashm-e-mushāhida se jo dekhtā huuñ vahī likhūñgā
ḳhilāf-e-shān-e-suḳhanvarī hai qasīda-e-āb-o-tāb likhnā
ye dasht-e-imkān-e-ārzū hai yahīñ ḳhayābān-e-justujū hai
yahāñ ke mausam kī sar-kashī ko alāmat-e-inqalāb likhnā
dayār-e-ehsās ke makīnoñ ke sar pe tāj-e-suḳhanvarī hai
to aise zinda diloñ ko 'aḳhtar' hamesha izzat-ma.āb likhnā
nashat-e-duniya ko KHwab likhna masarraton ko sarab likhna
jo ho sake to gham-o-alam ki hikayat-e-pur-kitab likhna
main sarguzisht-e-hayat apni sahifa-e-dil pe likh raha hun
tu ahd-e-rafta ke mausamon ko nae dinon ka azab likhna
main apni tahzib ke hawale sipurd-e-qirtas kar chuka hun
tere muqaddar mein kya nahin hai koi daraKHshanda bab likhna
hain meri aankhon mein KHwab tere isi liye to hain zaKHm gahre
kisi ke bas mein nahin hai shayad hikayat-e-iztirab likhna
main apni chashm-e-mushahida se jo dekhta hun wahi likhunga
KHilaf-e-shan-e-suKHanwari hai qasida-e-ab-o-tab likhna
ye dasht-e-imkan-e-arzu hai yahin KHayaban-e-justuju hai
yahan ke mausam ki sar-kashi ko alamat-e-inqalab likhna
dayar-e-ehsas ke makinon ke sar pe taj-e-suKHanwari hai
to aise zinda dilon ko 'aKHtar' hamesha izzat-maab likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.