nashat-e-hasti-e-fani ki justuju kya hai
nashāt-e-hastī-e-fānī kī justujū kyā hai
jo be-sabāt hai phir us kī aarzū kyā hai
fanā kā zā.iqa chakhnā paḌegā har shai ko
ye husn-e-zīst ye duniyā-e-rang-o-bū kyā hai
milegā ḳhaak meñ terā ġhurūr bhī zālim
baḌe baḌoñ ko zamīñ khā ga.ī hai tū kyā hai
talāsh-e-yār meñ sahrā-navardiyāñ kaisī
jo dil ke paas hai phir us kī justujū kyā hai
jamāl-e-yār kī tujh se misāl kaise duuñ
falak ke chāñd tirā husn kyā hai tū kyā hai
zarā sī baat pe bah jaa.eñ ḳhuun kī nadiyāñ
koī batā.e yahāñ qīmat-e-lahū kyā hai
badan ko noch lo badle meñ roTiyāñ de do
shikam kī bhuuk ke aage ye aabrū kyā hai
haiñ ab bhī aise musalmāñ jo jānte hī nahīñ
namāz roza kise kahte haiñ vuzū kyā hai
diloñ meñ jazba-e-aḳhlāq ho to baat bane
zabāñ se amn kī be-faiz guftugū kyā hai
talāsh karnā phir auroñ ke aib ko 'ahsan'
tū pahle jaan le anjām-e-aib-jū kyā hai
nashat-e-hasti-e-fani ki justuju kya hai
jo be-sabaat hai phir us ki aarzu kya hai
fana ka zaiqa chakhna paDega har shai ko
ye husn-e-zist ye duniya-e-rang-o-bu kya hai
milega KHak mein tera ghurur bhi zalim
baDe baDon ko zamin kha gai hai tu kya hai
talash-e-yar mein sahra-nawardiyan kaisi
jo dil ke pas hai phir us ki justuju kya hai
jamal-e-yar ki tujh se misal kaise dun
falak ke chand tera husn kya hai tu kya hai
zara si baat pe bah jaen KHun ki nadiyan
koi batae yahan qimat-e-lahu kya hai
badan ko noch lo badle mein roTiyan de do
shikam ki bhuk ke aage ye aabru kya hai
hain ab bhi aise musalman jo jaante hi nahin
namaz roza kise kahte hain wuzu kya hai
dilon mein jazba-e-aKHlaq ho to baat bane
zaban se amn ki be-faiz guftugu kya hai
talash karna phir auron ke aib ko 'ahsan'
tu pahle jaan le anjam-e-aib-ju kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.