nashat-e-kar se mahrum hi sahi hum bhi
nashāt-e-kār se mahrūm hī sahī ham bhī
havas se ziist kī phir bhī nahīñ tahī ham bhī
hameñ bhī zo'm hai dānishvarāna mansab kā
haiñ mubtlā-e-fareb-e-ḳhud-āgahī ham bhī
haiñ muTThiyoñ meñ sabhī rahnumā ḳhutūt agar
uThā.e phirte haiñ kyoñ bār-e-gumrahī ham bhī
hai ziist naam taġhayyur kā ye sunā to hai
vahī ho tum bhī vahī ġham bhī aur vahī ham bhī
agar hai da.avā-e-ulfat to kyoñ uThā.e phireñ
misāl-e-munshī-o-tājir 'atā' bahī ham bhī
nashat-e-kar se mahrum hi sahi hum bhi
hawas se zist ki phir bhi nahin tahi hum bhi
hamein bhi zo'm hai danishwarana mansab ka
hain mubtla-e-fareb-e-KHud-agahi hum bhi
hain muTThiyon mein sabhi rahnuma KHutut agar
uThae phirte hain kyon bar-e-gumrahi hum bhi
hai zist nam taghayyur ka ye suna to hai
wahi ho tum bhi wahi gham bhi aur wahi hum bhi
agar hai dawa-e-ulfat to kyon uThae phiren
misal-e-munshi-o-tajir 'ata' bahi hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.