nashat-e-mai hai ki jam-e-sharab hai kya hai
nashāt-e-mai hai ki jām-e-sharāb hai kyā hai
vo ḳhvāb-e-husn hai yā husn-e-ḳhvāb hai kyā hai
nigār-e-husn-e-ġhazālāñ bahār rāhat-e-jāñ
sahar kā nuur hai vo māhtāb hai kyā hai
havā chalī vahī ḳhushbū-badan kī yaad aa.ī
ye ḳhvāb hai ki haqīqat sarāb hai kyā hai
shab-e-visāl jo guzrī ki tere chehre par
sabā kā lams hai rang-e-hijāb hai kyā hai
ye shām-e-ġham bhī nahīñ yād-e-raftagāñ bhī nahīñ
ajiib sī hai ḳhalish iztirāb hai kyā hai
chaman meñ nik.hat-e-gul hai na ab nasīm-e-bahār
dhuāñ sā phailā huā hai sahāb hai kyā hai
charāġh ab bhī tirī rahguzar meñ jaltā hai
mirī vafā kā sila hai hisāb hai kyā hai
vo shams hai ki sitārā vo chāñd hai ki sahar
vo shaḳhs jān-e-'sabā' hai sarāb hai kyā hai
nashat-e-mai hai ki jam-e-sharab hai kya hai
wo KHwab-e-husn hai ya husn-e-KHwab hai kya hai
nigar-e-husn-e-ghazalan bahaar rahat-e-jaan
sahar ka nur hai wo mahtab hai kya hai
hawa chali wahi KHushbu-badan ki yaad aai
ye KHwab hai ki haqiqat sarab hai kya hai
shab-e-visal jo guzri ki tere chehre par
saba ka lams hai rang-e-hijab hai kya hai
ye sham-e-gham bhi nahin yaad-e-raftagan bhi nahin
ajib si hai KHalish iztirab hai kya hai
chaman mein nikhat-e-gul hai na ab nasim-e-bahaar
dhuan sa phaila hua hai sahab hai kya hai
charagh ab bhi teri rahguzar mein jalta hai
meri wafa ka sila hai hisab hai kya hai
wo shams hai ki sitara wo chand hai ki sahar
wo shaKHs jaan-e-'saba' hai sarab hai kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.