nashat-e-wasl ke hangame kab nahin rakhta
nashāt-e-vasl ke hangāme kab nahīñ rakhtā
maiñ koī shai bhī yahāñ be-talab nahīñ rakhtā
mujhe pata haiñ tirī barhamī ke saare sabab
mujhe ḳhabar hai tū kuchh be-sabab nahīñ rakhtā
hamārā yaar hai hassās is mu’āmle meñ
adab ke saath koī be-adab nahīñ rakhtā
hamesha husn ko dekhā gayā hai dād-talab
magar vo husn to koī talab nahīñ rakhtā
fasīl-e-dil kī muñDeroñ pe vo charāġh mire
jab us kī chaah nahīñ hotī tab nahīñ rakhtā
junūñ-nazhād hai timsāl-e-ā.ina merā
so apne aap meñ kyā kyā ġhazab nahīñ rakhtā
use ḳhabar hai ki rakhnā hai kyā nahīñ rakhnā
so jo bhī haath lage sab kā sab nahīñ rakhtā
nashat-e-wasl ke hangame kab nahin rakhta
main koi shai bhi yahan be-talab nahin rakhta
mujhe pata hain teri barhami ke sare sabab
mujhe KHabar hai tu kuchh be-sabab nahin rakhta
hamara yar hai hassas is mu’amle mein
adab ke sath koi be-adab nahin rakhta
hamesha husn ko dekha gaya hai dad-talab
magar wo husn to koi talab nahin rakhta
fasil-e-dil ki munDeron pe wo charagh mere
jab us ki chah nahin hoti tab nahin rakhta
junun-nazhad hai timsal-e-aina mera
so apne aap mein kya kya ghazab nahin rakhta
use KHabar hai ki rakhna hai kya nahin rakhna
so jo bhi hath lage sab ka sab nahin rakhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.